Wednesday, 4 July 2012

Qateel Shifai


tum poocho aur main naa batao'n aisay to halaat nahin
ik zra saa dil toota hai aur to koi baat nahin

kis ko khabar thi sanwalay badal bin barsay urr jaatey hain
sawan aaya lekin apni qismat mein barsaat nahin

toot gaya jub dil to phir yeh saans ka nagma kya maayni
goonj rahi hai kyun shehnaayi jub koi baraat nahin

ghum k andhyaray mein tujh ko apna saathi kyun samjhoon
tu phir tu hai mera to saaya bhi meray saath nahin

maana jeevan mein aurat ik baar mohabbat karti hai
lekin mujh ko yeh to bata dey kya tu aurat zaat nahin

khatam huaa mera afsana ab yeh aansoop ponchh bhi lo
jib mein koi tara chamkay aaj ki raat woh raat nahin

meray ghumgeen honay per ahbaab hain yun khayraan Qateel
jaisay mein pathhar hoon meray seenay mein jazbat nahin...!!!

No comments: